Adosan padosan kahe jo kahe
Adosan padosan kahe jo kahe
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Adosan padosan kahe jo kahe
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main jo chhup chhup ke galiyon se jaane lagi
Main jo chhup chhup ke galiyon se jaane lagi
Mui duniya ye ungli uthaane lagi
Mui duniya ye ungli uthaane lagi
Main bhi chalti rahi
Aage badhti rahi
Jaa ke sainyaan ko apna banaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Rokti hi rahi raat barsaat ki
Rokti hi rahi raat barsaat ki
Dil mein lekin lagan thhi mulaqaat ki
Dil mein lekin lagan thhi mulaqaat ki
Main bhi chalti rahi
Gir sambhalti rahi
Apne jogi ke darshan main paaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Teer taanon ke duniya ne kya kya kasey
Teer taanon ke duniya ne kya kya kasey
Mere manwa mein lekin piyaa thhe basey
Mere manwa mein lekin piyaa thhe basey
Teer khaati rahi
Muskuraati rahi
Heer raanjhe se neha lagaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re
Adosan padosan kahe jo kahe
Main to balma se naina milaaye aayi re
Main to balma se naina milaaye aayi re.
Asha Bhosle, Talat Mahmood
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Talat Mahmood