Agar tum na milte agar tum na aate
Agar tum na milte agar tum na aate
Meri zindagi phool bankar na khilti
Yeh muh bhi na khulta juba bhi na hilti
Mere dil ke zajbat soye hi rehte
Mere dil ke zajbat soye hi rehte
Agar tum na aankhon mein
Ulfat jagate ulfat jagate
Agar tum na aankhon mein
Ulfat jagate
Agar tum na milte agar tum na aate
Tadapti machalti na dil shad hoti
Tadapti machalti na dil shad hoti
Mere dil ki duniya na aabad hoti
Maze zindagi ke yeh milte na mujhko
Maze zindagi ke yeh milte na mujhko
Agar tum na mujhse mohabbat jatate
Mohabbat jatate mohabbat jatate
Agar tum na mujhse mohabbat jatate
Agar tum na milte agar tum na aate
Mere dil mein uthta na armaan koi
Mere ghar mein aata na mehman koi
Mohabbat ka izhar aankhen na karti
Mohabbat ka izhar aankhen na karti
Agar tum na aankhon se aankhen milate
Aankhen milate aankhen milate
Agar tum na aankhon se aankhen milate
Agar tum na milte agar tum na aate.
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)