Apne andar zara jhaank mere watan
Apne andar zara jhaank mere watan
Apne aibo ko mat dhank mere watan
Apne aibo ko mat dhank mere watan
Tera ithihas hai khun mein lithada hua
Tu abhi tak hai duniya mein pichhada hua
Tune apno ko apna na mana kabhi
Tune insa ko insa na jana kabhi
Tere dharmo ne jato ki taksim ki
Teri rasmo ne nafrat ki talim di
Wehshaton ka chalan tujhme zari raha
Pat loko ka junu tujhpe tari raha
Apne andar zara jhaank mere watan
Apne aibo ko mat dhank mere watan
Rang aur nasal ke dayro se nikal
Gir chuka hai bahut der ab to sambhal
Tu daravar hai ya aariya nasal hai
Jo hai ab isi khat ki fasal hai
Tere dil se jo na nafrat mit payegi
Tere ghar mein gulami palat aayegi
Teri barbadiyo ka tujhe wasta
Dhund apne liye ab naya rasta
Apne andar zara jhaank mere watan
Apne aibo ko mat dhank mere watan..
Shamshad Begum
Chitragupta Shrivastava, Shamshad Begum
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi