Aye chand mere dil ke aankho ke taare
Tu kyun hai maddham maddham maddham,
Maddham maddham maddham
Nindiya ke badale aankho mein aansu
Tujh ko sataaye kaisa gham
Aye chand mere dil ke aankho ke taare
Tu kyun hai..
Suna tera mukaddar hai
Suna tera mukaddar hai
Ja aasmaan pe tera ghar hai
Tanhai teri humsafar hai
Bas aakhari ye tera safar hai
Gham se bhari mitti se dur
Aahon bhari havaaon se dur
Nafarat bhare sagar se dur
Jo dil ko jalaa de us agni se dur,
Us agni se dur, us agni se dur
Kahane ko dur hai par lagta hai harapal
Tu hai yahi hamadam, hamadam, hamadam
Yaado me teri jee lenge bas hum
Khushiyo mein hoga tera gham
Zulmon sitam ka hai jahan
Zulmon sitam ka hai jahan
Hai qaid mein us ki meri jaan
Kyun bekhabar hai tu ae khuda
Tujh ko mubarak tera aasmaan
Bebas hu main kamjor nahi
Koi nahi tanha sahi, tanha sahi
Himmat ho to mushkil nahi
Hai hausla agar to mazil dur nahi,
Mazil dur nahi, mazil dur nahi
Ummid ke sahaare koi kyun haare
Chalte chalein tham tham,
Tham tham, tham tham
Tham tham, tham tham haradam
Khud pe yakin hai to kya kami hai
Do din ka hai mahemaan ye gham.
Mohammad Salamat
Adnan Sami, Alka Yagnik, G. V. Prakash Kumar
Adnan Sami
Alka Yagnik, Sonu Nigam
Mahalakshmi Iyer