Aye qaatib e taqdeer
Mujhe itnaa bataa de
Aye qaatib e taqdeer
Mujhe itnaa bataa de itna bata de
Kyun mujhse khafa hai tu
Kya maine kiya hai
Auron ko khushi
Mujhko faqat dardo ranzo gham
Duniya ko hansi
Aur mujhe rona diyaa hai
Kya maine kiya hai
Kya maine kiya hai
Kyun mujhse khafa hai tu
Kya maine kiya hai
Hisse mein sabke aayin hain
Hisse mein sabke aayin hain
Rangeen bahaaren
Bad-faqtiyaan lekin
Mujhe sheeshe mein utaaren
Peete hain peete hain
Rog roz-o-shab mussarraton ki may
Main hoon ke sadaa
Khoon-e-jigar maine piyaa hai
Kya maine kiya hai
Kya maine kiya hai
Thaa jinke dam kadam se
Ye aabaad aashiyaan
Wo chahchahaati
Wo chahchahaati bulbulen
Jaane gayin kahaan
Jugnoo ki chamak hai
Na sitaaron ki roshni
Is ghup andhere mein hai
Meri jaan par bani
Kyaa thi kyaa thi
Kyaa thi khataa ke
Jiski sazaa toone mujhko di
Kyaa thaa kyaa thaa gunah ke
Jiskaa badlaa mujhse liyaa hai
Kyaa maine kiyaa hai
Kyaa maine kiyaa hai
Kyun mujhse khafaa hai tu,
Yaa maine kiyaa hai.
Suprava Sarkar
Utpala Sen
Suprava Sarkar
Kundan Lal Saigal
Kundan Lal Saigal
Kundan Lal Saigal