Badalon se kaat kaatke
Kagazon pe naam jodna
Badalon se kaat kaatke
Kagazon pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Aare ye mujhe kya ho gaya
Doriyon se baandh baandh ke
Raat bhar chand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Ek baar tumko jab baraste
Paaniyon ke paar dekha thha
Yoon laga thha jaise gungunaata
Ek abshaar dekha thha
Ek baar tumko jab baraste
Paaniyon ke paar dekha thha
Yoon laga thha jaise gungunaata
Ek abshaar dekha thha
Tabse meri neend
Mein barasti rehti ho
Bolti bahut ho aur hasti rehti ho
Jo tujhe jaanta na ho us-se
Tera naam poochna
Yeh mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Dekho yoon khule badan
Dekho yoon khule badan
Gulabi sahilon pe aaya na karo
Tum namak bhare samundaron
Mein yoon is tarah nahaya na karo
Sara din chandni si chhaayi rehti hai
Aur gulabi dhoop baukhlai rehti hai
Jaamno ki naram daal pe
Naakhoon se naam khodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Badalon se kaat kaatke
Kagazon pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Aare ye mujhe kya ho gaya
Doriyon se baandh baandh ke
Raat bhar chand todna
Yeh mujhe kya ho gaya.
Lata Mangeshkar
Asha Bhosle, Suresh Wadkar
Hariharan, Lata Mangeshkar
Nagoor Babu (Mano)