Bahi Hai Jawaan Khoon Ki - Bhool Na Jaana lyrics | Bhool Na Jaana - Bahi Hai Jawaan Khoon Ki lyrics

Bahi Hai Jawaan Khoon Ki is a hindi song from the 1960 movie Bhool Na Jaana. Bahi Hai Jawaan Khoon Ki singer is Prabodh Chandra Dey (Manna Dey). Bahi Hai Jawaan Khoon Ki composer is Daan Singh and Bahi Hai Jawaan Khoon Ki lyricist or song writer is Hariram Acharya. Bahi Hai Jawaan Khoon Ki music director is Daan Singh. Bahi Hai Jawaan Khoon Ki features null. Bahi Hai Jawaan Khoon Ki director is and the producer is . The audio of Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song was released on null by null. Bahi Hai Jawaan Khoon Ki YouTube video song can be watched above.


Utthaa hai shor-e-toofaan
Zeher bikhraa hai hawaaon se
Zameen thharraa utthi hai
Khoon barsaa hai ghataaon se
Tabaahi ka gubaar utthaa
Girey hain toot kar taare
Mehekti waadiyon mein
Zulm ke bhadke hain angaarey


Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara
Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara


Himalay ke seene pe shole giraata
Badhaa hai pawan jung ka sansanaata
Chaman apne khoonkhaar ne raund daale
Aman ke kabootar ke par noch daale
Hai rishiyon ki dharti pe aayee tabaahi
Ye taareekh par put rahi phir siyaahi
Darindon ne seema pe hai pag pasaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara
Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara


Uttho sarfaroshon, uttho naujawaanon
Bulaati hai khaaq-e-chaman baagbaanon
Shaheedon ki saugandh le sar utthaao
Lahoo se vijay ka tilak tum lagaao
Mitoge tabhi maa ko jeevan milegaa
Badhoge tabhi janm itihaas legaa
Nichhaawar watan par ho jeevan tumhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara
Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara


Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara
Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara


Fizaaon pe jiski hai jannat nichhaawar
Duaaon pe duniya ki daulat nichhaawar
Wo maa aaj goli se ghaayal khadi hai
Hamaare liye imtihaan ki ghadi hai
Uttho maa ki asmat ka daaman bachaao
Sapooton badho jaan par khel jaao
Dilaati kasam tum ko ganga ki dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara
Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara


Ye dharti hai sab se badi maa hamaari
Yehi zindagi hai yehi jaan hamaari
Suhaagan ka kangan ho is par nichhaawar
Ke raakhi ka bandhan ho is par nichhaawar
Ke maa apni mamta ke moti lutaaye
Watan ki hifaazat ke samaan jutaaye
Ho balidaan hi aaj mazhab tumhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara
Bahi hai jawaan khoon ki aaj dhaara
Uttho hind ki sar-zameen ne pukaara


Hain hum satya ki raah ke veer raahi
Hain hum nyaaye ki saltanat ki sipaahi
Jahaan zulmaton ka mitaa kar rahenge
Aman ki kiran hum jagaa kar rahenge
Jahaan khoon ke garm katre girenge
Wahin se naye kaarvaan badh chalenge
Gagan tak udegaa tirangaa hamaara
Gagan tak udegaa tirangaa hamaara
Tirangaa hamaara.



Movie/album: Bhool Na Jaana
Singers: Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Song Lyricists: Hariram Acharya
Music Composer: Daan Singh
Music Director: Daan Singh
Music Label: null
Starring: null
Release on: null
1. Who is the music director of the song Bahi Hai Jawaan Khoon Ki
Ans: Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song music director is Daan Singh
2. Who is/are the singer/singers of the song Bahi Hai Jawaan Khoon Ki
Ans: Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song singer is Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
3. Who is the Composer of the song Bahi Hai Jawaan Khoon Ki
Ans: Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song composer is Daan Singh
4. Who is the Lyricist of the song Bahi Hai Jawaan Khoon Ki
Ans: Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song lyricist is Hariram Acharya
5. What is the movie of the song Bahi Hai Jawaan Khoon Ki
Ans: Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song is from Bhool Na Jaana
6. Who wrote the song Bahi Hai Jawaan Khoon Ki
Ans: Bahi Hai Jawaan Khoon Ki song is written by Hariram Acharya

Find other songs in - Bhool Na Jaana

1
2
Game Dil Kisse Kahu

Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

3
Mere Hamnashi

Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)

4
Pukaro Mujhe Naam Lekar

Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

5
Gora Gora Mukhada

Mukesh Chand Mathur (Mukesh)