Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Woh bapu jo pujya hai
Itna jitana ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Tees janwari shaam ko
Bapu birla ghar se baahar aaye
Praarthna asthaan ki jaanib
Dheere dheere kadam badhaaye
Lekin us din honi apna
Roop badalkar aayee
Aur ahinsa ke seene par
Hinsa ne goli barsaayee
Bapu ne kaha raam raam
Aur jag se kiya kinaara
Raam ke mandir mein jaa
Pahuncha shri raam ka pyaara
Jao bapu jao bapu
Rahega naam tumhaara
Jab tak chamke chaand
Sitaare chamke kaam tumhaara
Bapu tumne praan diye
Aur maut ki shaan badhaayee
Tumne apna khoon diya
Aur prem ki jyot jalaayee
Jai bapu ki jai gandhi ki
Bolo sab jan jai gandhi
Jis ne hindi muslim mein
Ik dor pyar ki bandhi
Yaad rahe bapu ki kahani
Bhool naa is ko jaayen hum
Bapu ne jo diya jalaaya
Uski jyot badhaaye hum
Jai bapu ki jai gandhi ki
Bolo sab jan jai gandhi
Jai bapu ki jai gandhi ki
Bolo sab jan jai gandhi
Jai gandhi jai gandhi
Jai gandhi jai gandhi jai gandhi.
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi