Bas ek soch se
Ban jaaye poori kahani
Duniya chaahe jo bole
Hum ko toh hai yeh sunaani
Haan bas ek soch se
Ban jaaye poori kahani
Duniya chaahe jo bole
Hum ko toh hai yeh sunaani
Kya galat hai kya sahi
Humne yeh socha na kabhi
Sapne hon poore,
Reh jaaye na koi kami
Jo bus ek soch se
Ban jaaye poori kahani
Khwaab hain toh
Rangeen yeh jahaan
Zindagi hass ti hai
Aaj hai toh kal honge kahan
Apni khushi sasti hai
Hum bhi kabhi mashhoor hon
Thode se maghroor hon
Paane ko jaan tarasti hai
Sapne hon poore,
Reh jaaye na koi kami
Jo bus ek soch se
Ban jaaye poori kahani
Socha jo wohi to paana hai
Kuch to kar ke dikhaana hai
Kya hain ham, kahan apne kadam
Kahan apna thikaana hai
Ab talak jo na dekhi ho
Apne mann ki hai manzil woh
Hum ko uss paar jaana hai
Sapne hon poore,
Reh jaaye na koi kami
Haan bus ek soch se
Ban jaaye poori kahani
Duniya chaahe jo bole
Hum ko toh hai yeh sunaani
Kya galat hai kya sahi
Humne yeh socha na kabhi
Sapne hon poore,
Reh jaaye na koi kami
Jo bas ek soch se
Ban jaaye poori kahani.
Ali Zafar
Ali Zafar, Shankar Mahadevan
Jaspreet Singh, Suraj Jagan
Master Saleem
Akriti Kakkar, Ali Zafar, Anusha Mani, Ehsaan Noorani, Shankar Mahadevan