Bidaai ki ghadi aayi
Mere bachcho kyun rote ho
Mere bachcho kyun rote ho
Hanso dukhi tum khun hote ho
Tum meri muskaan toh dekho
Jaaati maa ki shaan toh dekho
Mann mein koyi pyaas nahi hai,
Baaki koyi aas nahi hai
God mein jhulate tumako dekha,
Halake phulate tumako dekha
Bete bahuye pote dekhe,
Kaary safal sab hote dekhe
Mere karam huye sab puran,
Maa ke dharm huye sab puran
Maa mitti hai mamata dharati,
Maa ke sang mamata nahi marati
Tum tukade ho mere dil ke
Tum tukade ho mere dil ke
Is ghar mein rehana milake
Aaya jaaya karungi aangan
Banake main purwaayi
Aaya jaaya karungi aangan
Banake main purwaayi
Bidaai bidaai.
Asha Bhosle
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Asha Bhosle
Kishore Kumar
Suman Kalyanpur