Bolo beiman ki jay beiman ki jay
Bolo beiman ki jay beiman ki jay
Naa ijjat ki chinta naa
Fikr kisi apaman ki
Jay bolo beiman ki jay bolo
Jay bolo beiman ki jay bolo
Naa ijjat ki chinta
Jay bolo jay bolo beiman ki
Beiman ke bina
Matre hote aksar char
B se badakari i se irshya
M se bane makkar
Na se namak harami
Samjho ho gaye pure char
Char gunah mil jayen
Hota beiman taiyar
Are usase aankh milaye
Kya himmat hai shaitan ki
Jay bolo beiman ki
Bhola mukhada ujale
Kapde mann hai kala kala
Jiski daya se mandir
Chalate hai aabad shiwala
Khush karta bhagvan ko
Dekho ghanta baja baja kar
Nit mandir me puja
Karta dipak jala jala kar
Andar bhagvan ki jay ho
Aur bahar beiman ki
Jay bolo beiman ki
Beimani se hi banate
Hain bangale bag bagiche
Sar se upar pankhe
Chalate panv tale galiche
Rit rivaj dharm aur
Majhab dab jate hain niche
Beiman sabse aage aur
Duniya pichhe pichhe
Mehnat se bane naa kutiya
Arre chhodo bat makan ki
Jay bolo beiman ki
Seth bhi asali pet bhi
Asali nakali mal banaye
Upar asali label andar
Nakali ghi aur chay
Poplene kaa badal ke
Number tere lene banaye
Ya beimani teraa
Aasra bol ke lutta jaye
Arre apne desh kaa kapda
Aur lagi hai muhar japan ki
Jay bolo beiman ki
Vrindavan ke ham sanyasi
Kam hai chalate rahana
Mauka hai takdir bana lo
Hath naa malate rahana
Hath ki chudi panv ki
Payal ya ho gale kaa gahana
Mar ke mantar dugana kar
Den mane agar tu kahana
Do din pichhe kholo
Lila dekho bhagvan ki
Jay bolo bhagvan ki jay bolo
Jay bolo bhai jay bolo
Bhagvan ki jay bolo
Puri seat par jatajut sang
Hain maharaj padhare
Chimata charas chilam
Aur chele sath sath hain sare
Tikte lekar bhi gadi me
Khade sharif bechare
Aur yeh dekho bhagvan ke
Chamache pade hain panv pasare
Bina tikat yatra karte
Dekho tirth sthan ki
Jay bolo beiman ki.
Asha Bhosle
Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)