Dabi dabi si hansi
Honthon pe phansi hai
Gudgudi kar rahi hawa
Oo.. Halla macha rahi hai
Pagal si khwaishein
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch paagalpan hai
Sau baatein karta
Ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch paagalpan hai
Sau baatein karta
Ye buddhu sa mann hai
Karne de khwaabon ko badmashiyaan
Chalne de nazron ki manmaniyan
Dhoondhe chalo kuch thikane naye
Hone de pagli-pagli si nadaaniyaan
Hosh mein rehna hai kyun
Rehne se hoga kya
Behoshiyon mein hai maza
Oo..bachkaani harkatein
Jo hoti hain hone de
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch paagalpan hai
Sau baatein karta
Ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch paagalpan hai
Sau baatein karta
Ye buddhu sa mann hai
Mausam ne bhi ki hai kuch koshishein
Hone lagi dekho ye baarishien
Sar pe chadha hai yeh kaisa asar
Daude raftaar mein
Dil ki sab dhadkanein
Dhun koi chal rahi hai,
Kaano mein dheeme se
Roshan hai zyada yeh subah
Oo..halchal jo ho rahi hai
Seene mein hone de
Khushiyon ki mili hai wajah..
Kuch hai junoon sa
Kuch paagalpan hai
Sau baatein karta
Ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch paagalpan hai
Sau baatein karta
Ye buddhu sa mann hai.
Arko Pravo Mukherjee
Badshah, Benny Dayal
Arijit Singh, Asees Kaur
Badshah, Fazilpuria, Neha Kakkar, Sukriti Kakkar