Ummeed e ahl e kashti
Naa-khuda ke hai ishaare par
Meri kashti rawaan hai be-khatar
Tere sahaare par
Chale kyun mori
Naiyyaa kinaare kinaare
Chale kyun mori naiyyaa
Chale kyun mori naiyyaa
Kinaare kinaare
Chale kyun mori
Naiyyaa kinaare kinaare
Talaatum ho qiyaamat kaa
Ke toofaan hashr-saamaan ho
Shakistah baadbaan
Shiraazah e kashti
Pareshaan ho aa haan
Wo ghar barbaad ho kaise
Tu jiska meer saamaan ho
Wo kashti garq ho kaise
Ke tu jiska nigahbaan ho
Chale kyun mori
Naiyyaa kinaare kinaare
Chale kyun mori naiyyaa
Chale kyun mori naiyyaa
Kinaare kinaare
Chale kyun mori
Naiyyaa kinaare kinaare
Meri kashti badhegi aur
Cheerti seena samandar ka
Rawaani zaayeka ban kar karegi
Kaam khanjar ka haan haan
Sitaara auj par hai in dinon
Mere muqaddar ka
Ke kismat se mila hai
Saath mujhko
Tujh se raahbar ka
Chale kyun mori naiyyaa
Chale kyun mori naiyyaa
Kinaare kinaare
Chale kyun mori
Naiyyaa kinaare kinaare
Haan chale kyun mori
Naiyyaa kinaare kinaare..