Chhoti si ek bagiya mein
Khile nanhi munni si ek kali
Sabnam ke sang jhula jhule
Aur mast pavan ke sath pali
Chhoti si ek bagiya mein
Khile nanhi munni si ek kali
Chhoti si ek bagiya mein
Khile nanhi munni si ek kali
Bachpan ka zamana beet gaya
Joban ki suhani rut aayi
Aur apne man hi man mein
Kuch muskayi kuch sarmayi
Itne mein kahi se ek bhawra
Kuch gungun karta aa pahucha
Aankho aankho mein baat hui
Isne dekha usne dekha
Nadan kali us papi ki
Is tan mein sab kuch bhul gayi
Aur tod ke nata bagiya se
Bhawre ka daman tham chali
Dono ne basa li ek duniya
Armano ki aashao ki
Ek duniya mast tarano ki
Ek duniya thandi chavo ki
Chhoti si ek bagiya mein khili
Nanhi munni si ek kali
Chhoti si ek bagiya mein khili
Chhoti si ek bagiya mein khili
Nanhi munni si ek kali
Chhoti si ek bagiya mein khili
Nanhi munni si ek kali
Haste haste kuch din gujre
Phir kali ne ek sapna dekha
Ek chand ka tukda aangan mein
Aakash se tut ke aan gira
Us chand ke tukde se duniya
Un dono ki aabad hui
Lekin yeh khushi do din ki thi
Do din gujre barbad hui
Bhawre ne kali ko thukraya
Aur aankh chura kar chala gaya
Kya reet yahi hai duniya ki
Koi na kisi ka meet hua
Bhawre se shikayat kaun kare
Jab kismat ne muh mod liya
Ik phool khilaya khushiyo ka
Aur apne hatho tod liya
Kyu mujhko diye aasu gham ke
Duniya ko hasane wale ne
Kyu tod liya hai phool mera
Ek phool khila anjane mein.
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)