Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya aaja
Wahan tera mera naam likha hai
Rasta nahin yeh aam likha hai
Yeh hai darwaaza jahan tu khadi hai
Andar aajao sardi badi hai
Yahan se nazaara dekho parvaton ka
Jhanku main kahanse kahan hai jharokha
Yeh yahan hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya aaja
Achha yeh batao kahan pe hai paani
Bahar beh raha hai jharna deewani
Bijli nahin hai yahi ek gham hai
Teri bindiya kya bijli se kam hai
Chodho mat chhedo baazar jaao
Jaata hoon jaoonga pehle yahan aao
Shaam jawaan hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aaja
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aaja
Kaisi pyaari hai yeh chhotisi rasoi
Hum dono hain bas dooja nahin koi
Is kamre mein hongi meethi baaten
Us kamre mein guzrengi raaten
Yeh to bolo hogi kahan pe ladaai
Maine woh jagah hi nahin banai
Pyar yahan hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya aaja
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aaja.
Amit Kumar, Lata Mangeshkar
Asha Bhosle
Amit Kumar, Asha Bhosle
Amit Kumar, Lata Mangeshkar