Dhaani chunar mori haay re
Dhaani chunar mori haay re
Jaane kahaan udi jaaye re
Dhaani chunar mori haaay re
Aaj mere aanchal se
Kyun laaj lipatati jaaye
Jeewan ki bagiyaa mein
Ye kisne phool khilaaye
Nas nas mein dol ke
Ghoonghat pat khol ke
Aaj khushi lehraaye re
Dhaani chunar mori haay re
Jhoom rahe hain sapne
Do aankhon mein lehraake
Man hi man muskaaun
Main nayi dagar piyaa ke
Pag pag anjaan hai
Nazar hairaan hai
Baat magar man bhaaye re
Dhaani chunar mori haay re
Chanchal man ye kaahe
Main udti udti jaaun
O neel gagan par jaake
Chanda ko galey lagaaun
Sudh budh bisraa gaye
Ye din kaise aa gaye
Koi mujhe samjhaaye re
Dhaani chunar mori haay re.
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)