Dharti mata ban ke sahara
Manjil meri bata dena
Mil na sake jo manjil meri
God me mujhe sula lena
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Apne dulha ki ye anokhi re dulhaniya
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Takdir ne ki ye kaisi thitholi
Takdir ne ki ye kaisi thitholi
Dulhan ke hatho me dulha ki doli
Chali re chali re dekho pi ki sajaniya
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Apne dulha ki ye anokhi re dulhaniya
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Daya karo hey gagan devta
Kyu agni barsai
Jale hue ko aur jala ke ye kaisi nithurai
Kaha chhupe ho nil gagan ke
Kale badal aao
Mere piay ki pyas bhujao
Amrit jal barsao
Ghumad ghumad kar aao
Amrit jal barsao
Ghumad ghumad kar aao
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Apne dulha ki ye anokhi re dulhaniya
Jaye kaha ye piya ki joganiya
Chhaya kaisa ghor andhera
Isko parbhu mitao
Kan kan me pate pate me
Apna taiz dikhao
Chanda chamko taro chamko
Jugnu damak dikhao
Bina tail bati ke jag me
Jagmag jyoti jagao
Jagmag jyoti jagao
Jagmag jyoti jagao
Jaye kaha ye piya ki joganiya.
Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Suman Kalyanpur
Suman Kalyanpur
Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Suman Kalyanpur
Asha Bhosle
Asha Bhosle