Dost milte hain bichhadne ke liye
Phul khilte hain bikharne ke liye
Aashiya bante ujadne ke liye
Abb samajh aaya ke duniya kya hai
Abb samajh aaya ke duniya kya hai
Ik ubal tha ik junun tha
Mere jism me garm khun tha
Socha kuchh nahi bas nikal gaya
Apni aag me khud hi jal gaya
Apni aag me khud hi jal gaya
Dhup chadhati hai utar jati hai
Mauj sahil pe thahar jati hai
Bat bhi had se gujar jati hai
Abb samajh aaya ke duniya kya hai
Abb samajh aaya ke duniya kya hai
Har taraf yaha maut hai ravan
Zindagi mujhe layi hai kahan
Dekha aaina toh mai dar gaya
Jine ke liye kitna mar gaya
Jine ke liye kitna mar gaya
Vakt jadu hai yeh chal jata hai
Rup kaa rang bhi dhal jata hai
Tap ke loha bhi pighal jata hai
Abb samajh aaya ke duniya kya hai
Abb samajh aaya ke duniya kya hai
Duniya kya hai duniya kya hai.
Premlata, Talat Mahmood
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Alka Yagnik, Udit Narayan
Hema Sardesai, Jayesh Gandhi, Krishnakumar Kunnath (K.K)
Alka Yagnik, Udit Narayan
Abhijeet Bhattacharya, Alka Yagnik
Alka Yagnik