Dusro ka dukhda dur karnewale
Tere dukh dur karenge ram
Dusro ka dukhda dur karnewale
Tere dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram
Sat ka hai path ye dharam ka marg
Sambhal sambhal kar chalna prani
Pag pag par yaha re kasauti
Kadam kadam par kurbani
Magar tu dawa dol na hona
Teri sab peed harenge ram
Dusro ka dukhda dur karne wale
Tera dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram
Kya tune paya kya tune khoya
Kya tera labh hai kya hani
Iksa hisab karega wo ishwar
Tu kyu fikar kare re prani
Tu bas apna kam kiye ja
Tera bhandar bharenge ram
Dusro ka dukhda dur karne wale
Tera dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram
Poch le tu apne aasu tamam
Tere dukh dur karenge ram
Tere dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram.
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi, Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)