Aa
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Pukarta hai aasaman
Badal hi jaayega jahaan
Bahar aa hi jaayegi guzar
Hi jaayegi khizaan
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Sitam ke tir khaaye ja
Magar kadam badhaaye ja
Yahi hai shaan e zindagi
Naye diye jalaaye ja
Tu aansuo ke saaz par
Khushi ke git gaaye ja
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Zameen bhi tere saath
Aasaman bhi tere saath hai
Jo tu jahaan ke saath hai
Jahaan bhi tere saath hai
Ye rit hai jahaan ki ye git hai naseeb ka
Amir kha chukaa bahut zamana hai garib ka
Zamana hai garib ka, zamana hai garib ka
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ek din tera bhi zamana aayega
Gaaye chala ja gaaye chala ja
Ik din tera bhi zamana aayega.
Lata Mangeshkar
G. M. Durrani, Shamshad Begum
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lata Mangeshkar