Ek nanhi munni ladki thi
Ek nanhi munni ladki thi
Wo bilkul tere jaisi thi
Uske daddy sabse jiyada
Pyaar kiya karte the use
Apne pyar mein mummy ki
Mamta bhi diya karte the usse
Ek nanhi munni ladki thi
Ladki kya tasweer thi wo
Khwaabon ki taabeer thi wo
Ek kali thi jaane chaman
Jaane chaman, jaane chaman
Jhoomte gaate khelte hanste
Umr guzarti jaati thi
Subah noor mein halki si
Aur shaam bahaarein laati thi
Ek nanhi munni ladki thi
Waqt achanak rooth gaya
Nanha sa dil toot gaya
Lag gayi jaane kis ki nazar
Kis ki nazar, kis ki nazar
Ek din jaisi bebas hokar
Saare rishte tod gaye
Apni pyaari beti ko duniya mein
Akela chhod gaye
Jab aaya waqt judaayi ka
Dil ro ro ke ye kahta tha
Dil ro ro ke ye kahta tha
Kahta tha.
Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)