Aankho mein teri jadu
Saanso mein teri khusbu
Baato mein wo kasis hai
Dil pe rahe na kabu
Tere sabab ke hai
Charche jaha mein harsu
Manjur hai mujhe bhi
Sabse hasin hai tu
Surat ke jaisi sirat magar kaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho jane jaha
Jane jaha jane jaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho
Mausam ke jaise dekhe
So rang maine tere
Kal sham tu juda thi
Kuchh aur hai subere
Sabnam samjh ke tujhko
Ungli se jab chaua hai
Shola hai janeman tu
Mahsus tab hua hai
Kisse kahe ye mushkil
Dusman hai apna hi dil
Koi bhi jor ispe chalta nahi yaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho jane jaha
Jane jaha jane jaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho
Nigahe na chura mast
Najro ki kasam
Aye meri janewafa tujhko
Aaho ki kasam
Mai to tha ek aawara
Teri julfo ki kasam
Teri chahat ne mara
Tere jalwo ki kasam
Aaj khamosh na rah
Tujhko hotho ki kasam
Dil mein jo baat hai kah
Tujhko wado ki kasam
Pyar badnam na ho
Bake jajbo ki kasam
Darde ilzam na ho
Apne sajdo ki kasam
Aa bhi ja paas mere
Bahte ashko ki kasam
Main bharoshe hu tere
Dil ke rishto ki kasam
Kahta hai ye deewana
Apni kasam nibhana
Dusman bana jamana
Hai apni imtiha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho jane jaha
Jane jaha jane jaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho
Ulfat ke dusmano ko
Rakhe khuda salamat
Sabki jo khair maange hai
Wo dua mohabbat
Naraj hai tu mujhse par
Main khafa nahi hu
Sunle aye mere dilbar
Main bewafa nahi hu
Apno se nahi hote aise badguma
Gustaakhi maf ho aye jane jaha
Gustaakhi maf ho jane jaha
Jane jaha jane jaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaaakhi maaf ho
Tode jo har nashe ko
Wo yaar ki sada hai
Duniya ko jo bhulade
Wo pyar ka nasha hai
Hai jan hatheli pe sar pe
Bandha kafan hai
Apne piya se milne
Khud ki chali dulhan hai
Dildar ka ishara chhoda jahan sara
Mera sanam jaha hai
Duniya meri waha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho jane jaha
Jane jaha jane jaha
Gustaakhi maaf ho aye jane jaha
Gustaakhi maaf ho.
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar