Gungunati hai dil ki dhadkan
Toh gungunati kyon hai
Muskurati hai jindagi yeh
Toh muskurati kyon hai
Thodi khushi hai toh
Kya thoda darr bhi hai
Madhosh mai hu lekin
Itani khabar bhi hai
Kuchh toh hai dil ki chahat
Kuchh toh hai aarju
Kuchh toh hai dil ki khwahish
Kuchh toh hai justaju
Juban sath deti nahi
Garasta hai lab mere
Kahu toh mai kaise kahu
Ude hosh kab mere
Masmasaati hai ruh dil
Me toh masmasaati kyon hai
Jism se baras rahi
Aaj khushbu koyi
Rang se uda raha
Dil me harsu koyi
Jane kis mod par
Yeh kadam chal pade
Bujhte bujhte kahi
Sholay se jal pade
Yeh bahar yeh fija
Yeh sama yeh najare
Badle badle se aaj
Kyon lagte hai sare
Pehle bhi ham mila karte
The yeh mulakat aur hai
Aaj ki bat chhodo bhi do
Aaj toh bat kuchh aur hai
Gudgudati hai rut yeh dekho
Toh gudgudati kyon hai
Tune chhu liya mujhe
Toh aisa kyon laga
Jaise dil me le raha
Ho koyi chutkiya
Tune kis nigah se
Dekha hai mujhe
Gir padi hai dil pe
Mere kitani bijliya
Yeh nasha ek naya
Dard sa laya hai
Behka behka hu me
Jaadu sa chhaaya hai
Yeh kaisi bekhudi mere
Dil ko aajma rahi hai
Aajmati hai bekhudi
Toh aajmati kyon hai.
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Krishnakumar Kunnath (K.K)
Asha Bhosle, Udit Narayan
Asha Bhosle