Izaazat ho to main kuchh aap se
Gustaakhiyaan karlun
Izaazat ho to main kuchh aap se
Gustaakhiyaan karlun
Chura kar shokiyaan aankhon ki
Apna dil jawaan karlun
Chura kar shokiyaan aankhon ki
Apna dil jawaan karlun
Izaazat ho to main kuchh aap se
Gustaakhiyaan karlun
Bada hi shokh hai
Ye aapka bhi rang hothon ka
Bada hi shokh hai
Ye aapka bhi rang hothon ka
Agar mil jaaye thoda sa
Ghulaabi rang hothon ka
Ghulaabi rang hothon ka
To sadke husn ke apni
Rangeen daastaan kar loon
Chura kar shokiyaan aankhon ki
Apna dil jawaan karlun
Izazat ho to main kuchh aap se
Gustaakhiyaan karlun
Agar aata hai aankhon ko
Tumhaari teer barsaana
Agar aata hai aankhon ko
Tumhaari teer barsaana
To main bhi jaanta hoon pyaar ki
Raahon mein mar jaana
Inhi raahon mein mar jaana
Magar itna to mauqa doon ki
Haale dil bayaan karlun
Chura kar shokiyaan aankhon ki
Apna dil jawaan karlun
Izaazat ho to main kuchh aap se
Gustaakhiyaan karlun
Suno gar shauq se to dhadkanen
Dil ki sunata hoon
Suno gar shauq se to dhadkanen
Dil ki sunata hoon
Kaho to baat matlab ki
Jabaan par aaj lata hoon
Jabaan par aaj lata hoon
Bura maano to kah do band main
Apni jabaan karlun
Chura kar shokiyaan aankhon ki
Apna dil jawaan karlun
Izaazat ho to main kuchh aap se
Gustaakhiyaan karlun.
Mohammed Rafi, Usha Khanna
Kishore Kumar
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey), Usha Khanna
Lata Mangeshkar