Jaane wo kaun hain
Kyaa naam hai un aankhon kaa
Dil pe anjaani si
Tasveer banaa deti hain
Bujh ke reh jaati hai
Jab koi tamannaa dil mein
Ik chiraag aur bhi
Chupke se jalaa deti hain
Jaane wo kaun hain
Mujhko behlaati hain
Naashaad jo hotaa hoon kabhi
Neend mein rang milaati hain
Jo sotaa hoon kabhi
Jaagtaa hoon to haay
Jaagtaa hoon to
Kai khwaab dikhaa deti hain
Jaane wo kaun hain
Kyaa naam hai un aankhon kaa
Hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm
Jab bhi uthhti hain
Chhalakti hain gulaabi ki tarah
Der tak main to
Behaktaa hoon sharaabi ki tarah
Kyaa kahoon chupke se haay
Kyaa kahoon chupke se
Kyaa cheez pilaa deti hain
Jaane wo kaun hain
Roz milti hain wo
Tanhaa nahin rehne detin
Ye hai baat aur ki
Apnaa nahin kehne detin
Aur keh doon to haay
Aur keh doon to
Palak hans ke jhukaa detin hain
Jaane wo kaun hain
Kyaa naam hai un aankhon kaa
Dil pe anjaani si
Tasveer banaa deti hain
Jaane wo kaun hain.
Asha Bhosle
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar