Kas ke joota kas ke belt
Khons ke andar apni shirt
Manzil ko chali sawaari
Kandho pe zimmedari
Haath mein file man mein dum
Meelon meel chalenge hum
Har muskil se takrayenge
Tas se mus na honge hum
Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho
Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho
Yeh sote bhee hain attention
Aage rehne ki hai tension
Mehnat inko pyari hai
Ekdum aagyakari hain
Yeh omlet par hi jeete hain
Yeh tonic saare peete hain
Waqt pe sote waqt pe khate
Taan ke seena badhte jate
Duniya ka naara jame raho
Yahaan alag andaz hai
Jaise chidta koi saaz hai
Har kaam ko taala karte hain
Yeh sapne paala karte hain
Yeh hardum socha karte hain
Yeh khud se poocha karte hain
Kyon duniya ka naara jame raho
Yeh waqt ke kabhi ghulam nahin
Inhain kisi baat ka dhyan nahin
Titli se milne jaate hain
Yeh pedon se batiyate hain
Yeh hawa batora karte hain
Barish ki boondein padhate hai
Aur aasmaan ke canvas pe
Yeh kalakariyan karte hain
Duniya ka naara jame raho
Adnan Sami, Ananya Wadkar, Auriel Cordo
Aamir Khan, Amole Gupte, Bugs Bhargava, Kiran Rao, Loy Mendonsa, Ram Madhvani, Ravi Khanwiker, Roaj Gopal Iyer, Shankar Mahadevan, Shankar Sachdev
Shankar Mahadevan
Aamir Khan, Shaan
Raman Mahadevan
Dominique Cerejo, Shankar Mahadevan, Vivienne Pocha