Jannat hai dekhni to
Kisi dil me aashiya bana
Jannat hai dekhni to
Kisi dil me aashiya bana
Phulo ki ek jami bana
Geeto ka aasma bana
Pyar ki anzuman
Me aa banja aftab
Hai jo sarur ishk
To pani bhi hai sharab
Pani bhi hai sharab
Kismat na jo mita
Sake aisa koi nishan bana
Jannat hai dekhni to
Kisi dil me aashiya bana
Khushbu e gul to
Dekh hai rangat juda juda
Fark e najar mita
De to banda hi hai khuda
Banda hi hai khuda
Koi na gair jaha ho
Aisa bhi ek jaha bana
Jannat hai dekhni to
Kisi dil me aashiya bana
Waqt ki suni rah me
Hasti hai ek mukam
Or ye mukam kab
Talak jab tak chalke jam
Jab tak chalke jam
Dunia ka sath chod de
Khwabo ka tar yaha bana
Jannat hai dekhni to
Kisi dil me aashiya bana
Phulo ki ek jami bana
Geeto ka aasma bana.
Asha Bhosle
Aarti Mukherji, Mohammed Rafi