Jo zabane dil na samajh sake
Jo keh sake kabhi dil ki baat
Jo zabane dil na samajh sake
Jo keh sake kabhi dil ki baat
Wohi but hai harsoo nigaah mein
Jahaan dekhiye jahaan jaaiye
Thi nazar ko chaha ki aarzoo
Jahaan thi apni thi justazoo
Yeh toh pattharon ka shaher hai
Yahaan kisko apna banaiye
Wahin vall valle woh marhale
Wohi subaho shaam ke silsiley
Wahin hum rahe wahin tum rahe
Wahin zindagaaani ke gham rahe
Na naseeb apna sambhal saka
Na hi waqt humko badal saka
Yahaan zindagi ek zaher hai
Yeh toh ek paraya shaher hai
Kise daag dil ki dikhaiye
Kise daag dil ki dikhaiye
Yeh kahaani kisko sunaiye
Yeh toh pattharon ka shaher hai
Yahaan kisko apna banaiye
Mujhe chhod kar woh chale gaye
Mere dil ki dil mein reh gayi
Ek umeed thi jo bujhi bujhi
Mere aansoo o mein woh beh gayi
Mere darde dil ka ho kya bhala
Mera chara ghar hi chala gaya
Main jeeun toh aakhir kis liye
Ke nahin ka koi mere liye
Kahaan jaake moat ko dhundhiye
Kahaan jaake moat ko dhundhiye
Kahaan jaan apni gawaahiye
Yeh toh pattharon ka shaher hai
Yahaan kisko apna banaiye.
Mohammed Rafi