Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Milke ab hum bade pyar se
Zindagi ki kahani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Milke ab hum bade pyar se
Zindagi ki kahani likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Sur taje na taje gungunate rahe
Dard me bhi sada muskarate rahje
Ek duje ki baho me baithe rahe
Sat phero ki rasme nibhate rahe
Umar ke is hansi dor ko hum
Waqt ki maharbani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Rat dhal jayegi din gujar jayenge
Apni palko me sapne sawar jayenge
Khushabu sanso me aa ke sama jayegi
Phul chahat ke harsu bikhar jayenge
Dil ke mahake huye gulsita pe
Dhadkano ki rawani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Ab kisi mod par bhi na bichhadege hum
Bant lenge jo aayega koi bhi gam
Aaj se aur abhi se ye wada raha
Jaan deke nibhayenge apni kasam
Humne socha hai ab naam tere
Apni ye zindagani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Milke ab hum bade pyar se
Zindagi ki kahani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge
Kabhi khushiyon ki sargam likhenge
Kabhi aankho ka pani likhenge.
Abhijeet Bhattacharya, Sushma Shrestha (Poornima)
Sudesh Bhonsle
Sushma Shrestha (Poornima), Vinod Rathod
Sudesh Bhonsle
Sudesh Bhonsle