Ye dosti yaari mohabbat kya hai
Kuchh bhi nahi sab dikhawa hai
Are sab numayish hai
Numayish ke siwa kuchh bhi nahi
Kahe ki dosti kahe ki yaari
Kahe ki dosti kahe ki yaari
Duniya ye duniya hai matlab ki mari
Yaaro ki yaari
Yaaro ki yaari numayish hai sari
Kahe ki dosti kahe ki yaari
Yaaro ki yaari numayish hai sari
He kya rishte nate hai
Bate hi bate hai
Bato ki ghato se dil lut jate hai
Kasme to rasme hai
Duniya ke bas me hai
Duniya ki aankho pe
Do rangi chamshme hai
Dekhi hai duniya
Duniya ye duniya
Dekhi hai duniya ki ye duniyadari
Kahe ki dosti kahe ki yaari
Yaaro ki yaari numayish hai sari
He kaliya bik jati hai galiyo bazaro me
Dil ke bimaro me jhute dildaro me
Maili har chunar hai dagi har choli hai
Teri bhi boli to yaaro ne bolo hai
Sab yaar tere tere ha tere
Sab yaar tere hawas ke pujari
Kahe ki dosti kahe ki yaari
Yaaro ki yaari numayish hai sari
Meri to hasti me masti hi masti hai
Paas hai daulat to ye duniya sasti hai
Log sach kahte hai ha mai har jai hu
Bat sach ye bhi hai tera saudai bhi hai
Sagro meena se jhum ke peena hai
Jab talak jina hai jhum ke jina hai
Jo maine chaha hai ha wahi paya hai
Manga kab duniya se maine to chhina hai
Baho me dam hai phir kiska gham hai
Takat ki sab karte hai dawedari
Kahe ko dosti kahe ki yaari
Duniya ye duniya hai matlab ki mari
Yaaro ki yaari
Yaaro ki yaari numayish hai sari
Kahe ki dosti kahe ki yaari
Yaaro ki yaari numayish hai sari.
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)