Kahin door jab din dhal jaye
Sanjh ki dulhan badan churaye
Chupke se aaye mere
Khayaalon ke aangan mein
Koi sapnon ke deep
Jalaaye deep jalaaye
Kahin door jab din dhal jaye
Sanjh ki dulhan badan
Churaye chupke se aaye
Kabhi yun hi jab
Hui bojhal saansen
Bhar aai baithe baithe
Jab yun hi aankhen
Kabhi machal ke
Pyar se chal ke
Chhuye koi mujhe
Par nazar na aaye
Kahin door jab din dhal jaye
Sanjh ki dulhan badan
Churaye chupke se aaye
Kahin to yeh dil
Kabhi mil nahin paate
Kahin pe nikal
Aaye janmon ke naate
Thami thi uljhan
Bairi apna man
Apna hi hoke
Sahe dard paraaye
Kahin door jab
Din dhal jaye
Sanjh ki dulhan
Badan churaye
Chupke se aaye.
Lata Mangeshkar
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)