Koi bhor ko jaye re koi sham ko
Koi bhor ko jaye re koi sham ko
Jab tak sans hai sumir le
Radhe shyam ko koi bhor
Ko jaye re koi sham ko
Mitti me mitti mile
Na rahe naam bhi
Pancho pandav na rahe
Chal diye ram bhi
Mitti me mitti mile
Na rahe naam bhi
Pancho pandav na rahe
Chal diye ram bhi
Chalo koi bhi rashta
Sab rashte jaye param kam ko
Koi bhor ko jaye re koi sham ko
Koi bhor ko jaye re koi sham ko
Mere marne se agar
Koi bache pap se
Mujhko phir mamta
Hogi kyu apne aap se
Mere marne se agar
Koi bache pap se
Mujhko phir mamta
Hogi kyu apne aap se
Aaye ho jiske liye
Pura to karlo usi kam ko
Koi bhor ko jaye re koi sham ko
Koi bhor ko jaye re koi sham ko
Jisne diya hai janam
Hame wahi mare
Marte kisi se nahi uske dulare
Jisne diya hai janam
Hame wahi mare
Marte kisi se nahi uske dulare
Jab tak hai pran tan me
Mai to pukaru radhe shyam ko
Mai to pukaru radhe shyam ko
Radhe shyam radhe
Shyam radhe shyam
Radhe shyam radhe
Shyam radhe shyam.
Hemlata (Lata Bhatt)