Kya suraj ambar ko chhod ke jayega
Wo din kabhi na aayega
Kya phoolo se khushboo chin li jayegi
Ye na kabhi ho payega
Ye hua to koi na kisi pe yakin karega
Pyaar jahan se utha jayega
Kya suraj ambar ko chhod ke jayega
Wo din kabhi na aayega
Karte ho kitna pyar hame tum bolo to
Mere pyar ko apne pyar se tolo to
Pyaar ka wada kab tak yad rahega sanam
Apne aap ko bhul na jayenge jab tak hum
Hum jo bichade aag ke
Samne hath ko thamke
Koi bhi kasam nahi khayega
Premi prem ke path se kyu hat jate hain
Shak aata hain dil mein dil fat jate hain
Pyaar jo kam karte hain wahi to jalte hain
Vishwaso ke bal par hi ghar chalte hain
Tum jo badle mere pyar ko dhokha mila to
Jinda na koi mujhe payega
Kya suraj ambar ko chhod ke jayega
Wo din kabhi na aayega
Kya phoolo se khushboo chin li jayegi
Ye na kabhi ho payega
Ye hua to koi na kisi pe yakin karega
Pyaar jahan se utha jayega
Kya suraj ambar ko chhod ke jayega
Wo din kabhi na aayega.
Kishore Kumar, S. Janaki (Sishta Sreeramamurthy Janaki)
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Kishore Kumar