Ek din jab savere savere
Surmayi se andher ki chaadar
Hata ke ek parbat ke takiye se
Sooraj ne sar jo uthaaya toh
Dekha dil ki vaadi mein
Chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki
Kaliyaan mahekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo aadhi
Soyi huwi aadhi jaagi huwi
Aankhein malte huwe
Dekhti hai laher dar laher
Mauj dar mauj behti huwi zindagi
Jaise har ek pal nayi hai aur
Phir bhi wahi haan wahi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat
Bhi hai koyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai door jaana
Bhi hai aur ye ehsaas hai
Waqt jharne sa behta huwa
Jaa raha hai ye kehta huwa
Dil ki waadi mein
Chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki
Kaliyaan mahekne lagi hain
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai
Kyun fiza rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandni din mein kyun chhaa rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai ye silsila
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai gaa rahi hai
Jahaan tak bhi jaayein nigaahein
Baraste hain jaise ujaale
Jahaan tak bhi jaayein nigaahein
Baraste hain jaise ujaale
Saji aaj kyun hain ye raahein
Khile phool kyun hain niraale
Khushbuwein kaisi ye beh rahi hain
Dhadkanein jaane kya keh rahi hai
Mere dil bata ye kahaani hai kya
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai gaa rahi hai
Ye kiska hai chehra jisse
Main har ek phool mein dekhta hoon
Ye kiska hai chehra jisse
Main har ek phool mein dekhta hoon
Ye kiski hai awaaz jisko na
Sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi ye aahatein aa rahi hain
Kaise ye khwaab dikhla rahi hain
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai gaa rahi hai
Lata Mangeshkar
Jagjit Singh, Lata Mangeshkar
Gurdas Mann, Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Ahmed Hussain, Mohammad Hussain
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar, Sonu Nigam
Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Gurdas Mann, Lata Mangeshkar, Pritha Mazumdar, Udit Narayan
Udit Narayan
Lata Mangeshkar, Roop Kumar Rathod