Le jaa apni yaad bhi le jaa
Ab to ho gayi prit
Paraayi o harjai
Teri zafaa ne sab kuchh lutaa
Meri wafaa kuchh
Kaam na aayi o harjai
Mohabbat pe meri
Hukumat jo hoti
To main aaj iskaa
Gala ghont deti
Gala ghont deti
Magar kyaa karun main
Muhabbat ki duniya
Kisi ne banaayi kisi ne
Mitaayi o harjai
Tera naam saanson
Mein jab tak rahegaa
Mera dil tadaptaa
Machaltaa rahegaa
Ye jaltaa rahegaa
Mujhe khaaq kar de
Tassali to ho kuchh
Ke jisne lagaayi usi ne
Bujhaayi o harjai
Huaa iss tarah
Khatm mera fasaana
Muhabbat ke maatam pe
Khush hai zamaana
Khush hai zamaana
Maut ki doli pe
Main baithi hun
Duniyaa ne chhedi
Shehnaai o harjai
Le jaa apni yaad bhi le jaa
Ab to ho gayi prit
Paraayi o harjai.
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Lata Mangeshkar