Mati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Jo kuch dekha or suna
Jo wo bas ek kahani hai
Mati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Chod ke aakhir tan ka pinjara
Panchi ne ud jana hai
Parmatma ke jakar hi
Ek din ise samana hai
Lobh na kar tu is dunia ka
Ye dunia to pani hai
Mati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Pap bhara hai man me tere
Jahar bhara teri sanso me
Dunia ki jhuthi maya ne
Dhul bhari teri aankho me
Kadam kadam par is dunia me
Tune thokar khani hai
Mati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Tere bas me kuch nahi pagle
Tere hath se kuch nahi hona
Fek de apne hatho se
Ye aag ugalta hua khilona
Tune apne murkh man me
Kaisi jidd ye thani hai
Mati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai
Jo kuch dekha or suna
Jo wo bas ek kahani hai
Mati ke jalte deepak ki
Jyot to ek din bujh jani hai.
Asha Bhosle, Vijay Singh
Asha Bhosle, Gajendra Verma, Tirath Singh