Mai pital ki payaliya bhi pehanu jo paao me
Sone ka bhav sone ka bhav gir jaye
Shishe ka bhi nag jo jada lu nathaniya me
Shishe ka bhi nag jo jada lu nathaniya me
Hire ka bhav hire ka bhav gir jaye
Pital ki payaliya bhi pehanu jo paao me
Mera singar yahi surat hai meri
Surat bhi kya kubasurat hai meri
Gehano ki mujhko zarurat nahi hai
Gehano ki mujhko zarurat nahi hai
Gehano ko shayad zarurat ho meri
Mai ang apne jisko sajau
Uska nasib khil jaye
Pital ki payaliya
Mai pital ki payaliya bhi pehanu jo paao me
Sone ka bhav sone ka bhav gir jaye
Mai pital ki payaliya bhi pehanu jo paao me
Yeh pyar mera tujhe mehanga padega
Yeh pyar mera tujhe mehanga padega
Tu mol kya mere dil ka chukaye
Woh har mere gale ka banega
Jo pyar me jan par khel jaye
Meri nazar se gir jaye jo dil
Sholo me vahi ghir jaye
Pital ki payaliya
Mai pital ki payaliya bhi pehanu jo paao me
Sone ka bhav sone ka bhav gir jaye
Shishe ka bhi nag jo jada lu nathaniya me
Shishe ka bhi nag jo jada lu nathaniya me
Hire ka bhav hire ka bhav gir jaye
Pital ki payaliya bhi pehanu jo paao me.
Kanchan, Mohammed Rafi, Sulakshana Pandit (Sulakshana Pratap Narain Pandit)