Main agar sitaaron se chura ke laaun roshni
Hawaaon se chura ke laaun raagini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Main agar nazaron se chura ke laaun rangatein
Mazaaron se chura ke laaun barqatein
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Meri bezubaani qafas ek tune sunaa
Mere gham ka merham tera pyar hai bepanah
Bepanaah…
Bepanaah…
Tere bina umr ke safar mein
Bada hi tanha hoon main
Raftaar jo waqt ki pakad na sake
Woh lamha hoon main
Faagun ke mahine
Tere bina hain pheeke
Jo tu nahi toh saare
Saawan mere sookhe
Main agar kitaabon se chura ke laaun qaayde
Hisaabon se chura ke laaun faayde
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Main agar sitaaron se chura ke laaun roshni
Hawaaon se chura ke laaun raagini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Tere gham ka main tujhse pehle karun saamna
Tere hi liye toh mera pyaar hai bepanah
Bepanaah…
Angaraag Mahanta (Papon), Javed Ali, Shafqat Amanat Ali Khan
Atif Aslam
Rahat Nusrat Fateh Ali Khan
Kamaal Khan, Nakash Aziz, Tushar Joshi
Zhu Zhu, Salman Khan
Akashdeep Sengupta, Amit Mishra, Kamal Khan