Kya kahoo kya tamasha hua saahebo
Ye tamashe to hote hi rahate hai ji
Isse pahale mera naam kuchh aur tha
Ab tavayat mujhe log hahate hai ji
Meri jhulfo ko dasna hi aata nahin
Meri aankhon ko hansana hi aata nahin
Mere janib jara gaur se dekhiye
Ask bhi meri aankhon se bahate hai ji
Suniye saahib shuru
Geet ka mukhda karti hoon
Mujre wali hoon main
Mujra karti hoon
Mujre wali hoon main
Mujra karti hoon
Rusva hoti hoon
Rusva hoti hoon,
Main sabko rusva karti hoon
Mujre wali hoon main
Mujra karti hoon
Mujre wali hoon main
Mujra karti hoon
O..o…mere honthon pe
Jo geeto ke mukhde hai
Dar-asal mere tute dil ke tukde hai
Mere honthon pe
Jo geeto ke mukhde hai
Dar-asal mere
Tute dil ke tukde hai
Dar-asal mere
Tute dil ke tukde hai
Aapki khidmat mein
Pesh ek tukda karti hoon
Mujre wali hoon
Main mujra karti hoon
Mujre wali hoon
Main mujra karti hoon
O..o…aakhir insaan hoon main,
Hansati hoon, roti hoon
Jab aap nahin hote
Main tanha hoti hoon
Aakhir insaan hoon main,
Hansati hoon, roti hoon
Jab aap nahin hote
Main tanha hoti hoon
Jab aap nahin hote
Main tanha hoti hoon
Main apne saamane baith ke
Apna dukhda karti hoon
Mujre wali hoon
Main mujra karti hoon
Mujre wali hoon
Main mujra karti hoon
Rusva hoti hoon
Rusva hoti hoon,
Main sabko rusva karti hoon
Mujre wali hoon
Main mujra karti hoon
Mujre wali hoon
Main mujra karti hoon.
Lata Mangeshkar, Mohammed Aziz
Lata Mangeshkar, Mohammed Aziz
Asha Bhosle
Ustad Ghulam Ali