Na jane chand kaisa hoga
Tum sa hain to nahi
Na jane chand kaisa hoga
Tum sa hain to nahi
Honge rangin ye sitare
Tum se rangin to nahi
Na jane chand kaisa hoga
Aate hai nile aasma pe
Jane kidhar se sitare
Aate hai nile aasma pe
Jane kidhar se sitare
Jalta hai sara hi jamana
Teri najar ke sahare
Dil chahe aasma ko chulu
Le chal hume bhi vahi
Na jane chand kaisa hoga
Chhaiye hai kale kale badal
Kya tumne julfe bikheri
Chhaiye hai kale kale badal
Kya tumne julfe bikheri
Kho jau jake badlo me
Kab se tamana meri
Jane do khvab ki ye bate
Humko ko hai inpe yakin
Na jane chand kaisa hoga
Sare jamane se nirali
Hum koi duniya basaye
Sare jamane se nirali
Hum koi duniya basaye
Dil ke rangile sapno se
Mafil rangini sajaye
Aisa jahan hasi kaha pe
Hoga kahi na kahi
Na jane chand kaisa hoga
Tum sa hain to nahi.