Saikadon kishor yahaan, are saikadon lata
Bin sune chalega tumhe kis tarah pata
Dil na badhaao na sahi, dil toh na todo
Bekaso pe julm ke yun tir na chhodo
Na roop dekhiye na naam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Na roop dekhiye na naam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Yeh purane log yeh purane raaste
Yeh purane log yeh purane raaste
Maut hai purana pan kala ke waste
Mauka naye khun ko diya hi na jayega
Mauka naye khun ko gar diya hi na jayega
Kala mein phir nayapan kahaan se aa payega
Jo aaj hai mashhoor…..
Jo aaj hai mashhoor kal woh bhi the naye
Aage kisi ne unako badhaya toh badh gaye
Aage kisi ne unako badhaya toh badh gaye
Na roop dekhiye na naam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Kitane hi taansen gumnaam reh gaye
Kitane hi taansen gumnaam reh gaye
Ik mauka na mila toh naakaam reh gaye
Tulasidas kayi hai, kayi taigore bhi yahan
Tulasidas kayi hai, kayi taigore bhi yahan
Ek hi aap na samajhe hai ghalib aur bhi yahan
Hai lakhon kalakar……
Hai lakhon kalakar paarikhi ki kami hai
Heerein toh hai hajaar johari ki kami hai
Heerein toh hai hajaar johari ki kami hai
Na roop dekhiye na naam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Na roop dekhiye na naam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Jo dekhiye toh aadami ka kaam dekhiye
Apana ke mujhe aap ne yun jindagi de di
Khoya tha andheron mein mujhe roshani de di
Yuun deke pyaar aap ne mera dil badha diya
Chhote se ik chiraag ko suraj bana diya
Hum jaise aur bhi naye aayenge kalakar
Ummid hai un sabako aap denge yun hi pyar
Ummid hai un sabako aap denge yun hi pyar.
Kishore Kumar
Mohammed Rafi, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Kishore Kumar
Mohammed Rafi, Sudesh Bhonsle, Sushma Shrestha (Poornima)