Nanhe paon chaandani ek roj aayi mere ghar
Khushiyon ke tinko se aagan diya mera bhar
Magar sochate hi aaj aankh bhar aayi
Karni padegi teri ek bidaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Teri chehel kadami tere muskurahat
Chhedane satane hasaane wali aadat
Teri thahako se gham ka bhaag jaana
Kadamo ki aahat mein khushi ka aashiyana
Aaj tu humaari kal hogi paraayi
Magar sochate hi aaj aankh bhar aayi
Karni padegi teri ek bidaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Teri surat se din ka har subh murhat
Har bala se ladane ki aati mujh mein himmat
Tujhe dekhane se mujhe taazagi jo milati hain
Phoolo pe shabnam si saath saath rehati hain
Lagati hain zindagi umeed mein nahayi
Magar sochate hi aaj aankh bhar aayi
Karni padegi teri ek bidaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Rishte naate saare jazbaat hain tumhi se
Aur bhala kyaa chahoon main zindagi
Hasi ki phool jhadi aur chutkule phatakhe
Har shaam diwaali jaise gham hai manate
Ek saath itane saare tohfe tu laayi
Magar sochate hi aaj aankh bhar aayi
Karni padegi teri ek bidaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Jab bhi kabhi mujhko hoti hai hararat
Malish ke jaisi lagati teri shararat
Koi bhi dard ho ho jaaye kosho door
Ajab saa mile sukh anokhi si raahat
Teri ek chhuan ban jaaye dawaai
Magar sochate hi aaj aankh bhar aayi
Karni padegi teri ek bidaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai
Mere khuda kaisi rashm ye banaai.
Mika Singh
Mamta Sharma
Nikhil D'Souza, Nitin Arora
Javed Ali