Nigahe yar ne
Nigahe yar ne kuch aisa jadu kar diya
Nigahe yar ne kuch aisa jadu kar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Nigahe yar ne
Nigahe yar ne kuch aisa jadu kar diya
Hasin rat hai tu mere sath hai
Mai kyu na chum lu ghataye julf ki
Mai tujhme kho gaya diwana ho gaya
Ke mujhko le udi hawaye julf ki
Mahakte gesuo ne
Mahakte gesuo ne chain kis kadar chin liya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Nigahe yar ne
Nigahe yar ne kuch aisa jadu kar diya
Mili jo husn ki jara si roshmi
Bujhe bujhe se khwab jagmaga uthe
Jo pyar mil gaya ye dil sambhal gaya
Udas hoke fir se gunguna uthe
Labo ko pyar ne
Labo ko pyar ne ye nagma e sahar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Nigahe yar ne
Nigahe yar ne kuch aisa jadu kar diya
Ye mera dil kahe tu humkadam rahe
Jaha bhi le chale wafa ke rashte
Kisi bhi mod pe akela chod ke
Chale na jana tum khuda ke waste
Mujhe nasib ne
Mujhe nasib ne ek pyara humsafar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Gulo ka rang meri jindagi me bhar diya
Nigahe yar ne
Nigahe yar ne kuch aisa jadu kar diya.
Lata Mangeshkar, Suresh Wadkar
Asha Bhosle