Nuktaacheen hai gham-e-dil
Usko sunaaye na bane
Kyaa bane baat jahaan
Baat banaaye na bane
Kyaa bane baat jahaan
Baat banaaye na bane
Main bulaataa to hoon
Usko magar ae jazbaa-e-dil
Main bulaataa to hoon
Usko magar ae jazbaa-e-dil
Us pe ban jaaye kuchh aisi
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Nuktaacheen hai gham-e-dil
Usko sunaaye
Bojh wo sar pe giraa aaa
Bojh woh sar se giraa
Hai ki uthaaye na uthe
Kaam wo aan padaa
Hai ke banaaye na bane
Kaam wo aan padaa
Hai ke banaaye na bane
Nuktaacheen hai gham-e-dil
Usko sunaaye
Ishq par zor nahin
Ishq par zor nahin hai
Ye wo aatish ghaalib
Ke lagaaye na lage
Ke lagaaye na lage
Aur bujhaaye na bane
Ke lagaaye na lage
Aur bujhaaye na bane
Nuktaacheen hai gham-e-dil
Usko sunaaye.
Kundan Lal Saigal
Kundan Lal Saigal
Kundan Lal Saigal
Kundan Lal Saigal
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Mubarak Begum