O dil mein basane wale
Naino se hume kyu dur kiya
Naino se hume kyu dur kiya
O duniya banane wale
Kyu tune hume majbur kiya
Kyu tune hume majbur kiya
Kadam kadam par pap kapat
Aur pal mein jal bichhaye
Andhkar mein bhatak rahi hu
Rasta kaun dikhaye
Mere dil ka nazuk pyala
Taqdeer ne chaknachur kiya
Taqdeer ne chaknachur kiya
O duniya banane wale
Kyu tune hume majbur kiya
Kyu tune hume majbur kiya
Jis din rani yaad mein
Teri geet birha ke gau
Pankh laga de koi to
Pal mein paas tere ud aau
Main tere milan ko tadpu
Kya maine aisa kasur kiya
Kya maine aisa kasur kiya
O dil basane wale
Naino se hume kyu dur kiya
Naino se hume kyu dur kiya
Jab paas tumhare rehte the
Dukh mein bhi hume sukh milta tha
Bhukhe aur pyase rahe kar bhi
Tan hansta tha mukh khilta tha
Bhagwan khata kya meri
Kyu piya ko mujhse dur kiya
Kyu piya ko mujhse dur kiya
O duniya banane wale
Kyu tune hume majbur kiya
Kyu tune hume majbur kiya
O dil mein basane wale
Naino se hume kyu dur kiya
Naino se hume kyu dur kiya.
Mohammed Rafi, Shamshad Begum