Lab pe dil ki baat hai aayi
Main kaise khamosh rahu
Dhadkan kahti hai jo mujhse
Kaise tujhse wo baat kahu
Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Ye hai mera faisla kya hai tera faisla,
O rabba
Vaada todu na sanam chahe koi ho sitam
Vaada todu na sanam chahe koi ho sitam
Ye hai mera faisla kya hai tera faisla
Ho rabba
Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Main to jeeungi tere intezaar me
Aansu piungi har ghadi main pyar me
Teri wafa pe mujhe aetbar hai
Dil kya hai tujhpe meri jaan nisar hai
Hona tha ek din dil ko deewana
Kismat mein to tha yeh pyar aana
Ho dil to maine sathiya naam tere likh diya
Ho dil to maine sathiya naam tere likh diya
Ye hai mera faisla kya hai tera faisla
O rabba
Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Khamosh dharti falak bejuban hai
Apni mohabbat ka ye imtihan hai
Rishte dilo ke koi tod na sake
Tufaan ki dhara koi mod na sake
Hum to likhenge apna fasana
Jo jee mein aaye karle zamana
Teri baaho mein rahu dard tera main sahu
Teri baaho mein rahu dard tera main sahu
Yeh hai mera faisla kya hai tera faisla
O rabba
Vaada todu na sanam chahe koi ho sitam
Sath chhodu na tera chahe duniya ho khafa
Yeh hai mera faisla kya hai tera faisla
O rabba
Yeh hai mera faisla kya hai tera faisla
O rabba o rabba o rabba o rabba.
Sapna Mukherjee, Vinod Rathod
Alka Yagnik, Vinod Rathod
Alka Yagnik, Kumar Sanu
Alka Yagnik, Kumar Sanu
Abhijeet Bhattacharya, Alka Yagnik