Paisa hi rang rup hai paisa hi mal hai
Paisa na ho to admi charkhe ki mal hai
Paise hi ka amir ke dil me khyal hai
Paise hi ka fakir bhi karta sawan hai
Paisa hi fauj paisa hi jaho jalal hai
Paise hi ka tamam ye dango dalal hai
Paisa hi bas batata hai insan ki jat ko
Bin paise saga bhai bhi puche na bat ko
Paisa hi jeb deta hai byah or barat ko
Paisa ho pas dulha bane adhi rat ko
Dekho kabar uthate hai paise ke waste
Teero sana lagate hai paise ke waste
Maidan me jakham khate hai paise ke waste
Ya takhte sar kata te hai paise ke waste
Paisa hi badi cheez hai ye khub kaha hai
Bismil magar nazir ne ye bhi to likha hai
Paise se jo ulfat tujhe ho jayegi baba
Dukh isme teri ruh bahut payegi baba
Daulat jo teri yahi na kam aayegi baba
Phir kya tujhe allah se milwayegi baba
Bedar khabardar ho is bat se mat bhul
Ye kabar me to sath nahi jayegi baba
Bukho ko garibo ko yatimo ko khila ja
Warna ye tujhe bojh tadpayegi baba
Paise ke pet me kabhi aana nahi baba
Insaniyat pe dag lagana nahi baba
Insaniyat pe dag lagana nahi baba
Insaniyat pe dag lagana nahi baba.
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)