Palkon pe phool khile
Aise ye soya hai
Neendon ke gamle mein
Koi khwab jaise boya hai
Jaadu ki chhadi leke
Koi apsara aayegi
Chutki mein bikhri cheezein
Theek kar ke jaayegi
Inka har kaam hi
Kal pe hai tal raha
Sooraj kabse inke
Gaalon pe dhoop mal raha
Valentines day aaya
Life mein rang laaya
Par inke calender mein
October hi chal raha
Kaisa ye khel hai
Rishton ka mel hai
Khushiyaan dhoondhe
Yahan wahan
Kaisi paheli hai ye
Mast albeli hai ye
Uljhe kuchh suljhe
Hain yahan
Dil hirni sa kuchh idhar
Chaukanna sa rehta hai
Hmm suljha hua sa koi
Raag bajhta rehta hai
Inko hi deke din
Bhi roshan hota hai
Jo bhi inko dekhe
Woh sapne laakh sanjota hai
Inke chhoone se cheezein
Sanvarti jaati hain
Kudrat inki ghadi ko
Theek karke jaati hai
Roop se dhoop chale
Zulfon mein shaam dhale
Suraj deewana banke
Inki hi chaal chale
Kitna bemel hai
Phir kaisa mel hai
Khushiyaan dhoondhe
Yahan wahan
Kaisi paheli hai ye
Mast albeli hai ye
Uljhe kuchh suljhe
Hain yahan
Kaisa ye khel hai
Rishton ka mel hai
Khushiyaan dhoondhe
Yahan wahan
Kaisi paheli hai ye
Mast albeli hai ye
Uljhe kuchh suljhe
Hain yahan.
Shaan
Sonu Nigam
Remo Fernandes
Anwesha Datta Gupta, Krishnakumar Kunnath (K.K)