Parwaane ko bujhe diye
Par kabhi na jaate dekha
Parwaane ko bujhe diye
Par kabhi na jaate dekha
Jale diye par laakho ko
Hai jaan lutaate dekha
Naye saaz ki lahar mein
Sabko mauj manaate dekha
Tute taar pe hamne hamne
Kisi ko kabhi na gaate dekha
Soye taar pe kisi ko aaj
Kisi ko aaj preet jagaate dekha
Soye taar mein kisi ko aaj
Kisi ko aaj preet jagaate dekha
Chaar aankhon ko chupke chupke
Hamne gaate dekha
Ujde ban mein basant rut ko
Aaj hai aate dekha kaliyon ko hai
Sukhi daal par muskaate dekha
Aaj preet ki dulhan ko
Ghunghat sarkaate dekha
Aaj preet ki dulhan ko
Ghunghat sarkaate dekha
Aaj chakori ke man mein
Chandaa ko samaate dekha
Chandaa ko samaate dekha.
Kalyani Das