Pyaar ki paarsaayee roohon mein ghul rahi hai
Dil ki chhupi baatein dhadkan mein khul rahi hai

Pyaar ki paarsaayee
Theher theher din ke peher chhupake se
Shaamon ki baahon mein simat gaye
Theher theher din ke peher chhupake se
Shaamon ki baahon mein simat gaye
Ujale ujale khaab liye aankhon mein
Subahon ke raaton se lipat gaye
Chaandani ki chaadar mein
Khaaishein odhake dheere se ghul rahi hai
Pyaar ki paarsaayee roohon mein ghul rahi hai
Dil ki chhupi baatein dhadkan mein khul rahi hai
Pyaar ki paarsaayee
Nazar nazar bhataki nazar palakon ke
Saaye mein aakar ke sone lagi
Nazar nazar bhataki nazar palakon ke
Saaye mein aakar ke sone lagi
Bikhar bikhar dagar dagar jaakar ke
Surmayi raahatein sanjone lagi
Dil ki ragon mein ishq ki
Nason mein aashqi dhal rahi hai
Pyaar ki paarsaayee roohon mein ghul rahi hai
Dil ki chhupi baatein dhadkan mein khul rahi hai
Pyaar ki paarsaayee roohon mein ghul rahi hai
Dil ki chhupi baatein dhadkan mein khul rahi hai.